Featured Video

Breaking News
Join This Site

Fashion

post

post

Buzurgan-e-deen ki Mubarak zindagi ( Life, History ) ™ ( Part 45 )
Hazrat Rabia Basri rehmatullahi alaihi :
**************************************************************************
Aap 4 Qalandar me se 1 hain.
***********
Aap ki wiladat 96 Hijri me Basra, Iraq me hui.
Aap ke walid ka naam Hazrate Isma’il hai.
Aap apne walidain ki chothi beti thi, Is liye aap ka
naam ‘Rabia’ rakha gaya.
Aap ke walid itne gareeb the ke aap ki paidaish
ke waqt aap ko odhane ke liye kapda bhi nahi tha
aur chirag jalane ke liye tel bhi nahi tha. Aap ki
walida ne apne shohar ko kaha ke ‘Aap padosi ke
ghar se tel lekar aayen to ham chirag roshan kar
saken.’ Aap ke walid ghar ke bahar nikle to
darwaze par unho ne socha ke maine kabhi apne
rabb ke siwa kisi dusre ke saamne haath failaya
nahi hai. Ye sochkar aap wahi se khali haath
wapas laul aaye.
Us raat aap ke walid ko khwab me Huzoore
akram Rehmatallil aalamin Sarware kaainat
Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ki ziyarat
hui. Aap ne farmaya ke
-> Tumhare yaha paida hone wali ye bachi ALLAH
ki barguzida bandi hai aur uske zariye ALLAH
ta’ala bahut se logo ko hidayat ata farmaega aur
roze mehshar wo mere ummatiyo me se 70000 ki
shafa’at karegi.
Tum Basra ke Ameer Isa-e Zadan ke paas jaao
aur mera ye paigam likhkar use dena ke ‘Tum har
raat 100 martaba aur Jumeraat ko 400 martaba
mujh par Durood shareef padhte ho. Is Jumeraat
ko kisi wajah se tum ye nahi kar paaye ho. Is liye
jurmane me tumhe is aane wale ko 400 dinar ka
hadiya dena hai.’
Jab Hazrate Isma’il jaage to aap ki aankh me
khushi ke aansoo the. Subh ko aap ameere Basra
ke paas gaye aur Huzoor sallallahu alaihi
wasallam ka khat use diya. Use dekhkar wo
khush ho gaya ke mere aaqa mujhe yaad karte
hain aur usne aap ko 400 dinar diye aur saath
me 1000 dinar gareebo me khairat kiye.
Aur aap se kaha ke ‘Jab bhi koi bhi zaroorat ho
to foran mere paas aa jaana.’
***********
Aap ke walid ke inteqal ke baad, Basra me qehat
pada. Aap jab ek kaafile ke saath jaa rahi thi tab
Dakaito ke giroh ne aapko pakad liya aur aap ko
gulam banake bech diya. Aap ka maalik aap se
bahut zyada kaam karata tha.
Pura din bhari kaam karne ke baad bhi aap puri
raat ibadate ilahi me guzarti thi.
Aur kai baar din ko roza bhi rakhti thi.
Ek baar der raat ko maalik jaaga to Rabia ibadat
me mashgool thi aur aap ke aas-paas noor
chhaya hua tha aur aap keh rahi thi ke ‘Aye mere
Rabb, Tu jaanta hai ke meri khwahish hai ke main
tere ahkam par amal karna chahti hu aur dil se
teri ibadat karna chahti hu. Aye meri aankho ke
noor, agar main aazad hoti to pura din aur puri
raat teri ibadat me guzarti. Magar main kya karu,
tum ne mujhe insan ka gulam bana diya hai.’
Ye sunkar maalik ko ehsas hua ke Is ALLAH ki
wali ko gulam banakar rakhna ye be-adabi hai.
Subh ko usne Hazrate Rabia ko bataya ke ‘Main
aap ko aazad karta hu aur agar aap chahe to aap
ki khidmat karna chahta hu. Agar aap chahe to is
ghar main reh sakti hain aur agar aap ki marzi
yaha se jaane ki ho to aap ja sakti hain.’
Aap ne farmaya ‘Mera irada yaha se nikal kar
tanhai me ALLAH ta’ala ki ibadat karne ka hai.’